Iss mod se jaate hain
Kuchh sust-kadam raste,
Kuchh tez-kadam raahein...
Patthar ki haveli ko,
Sheeshe ke gharondon mein,
Tinko ke nasheman tak,
Iss mod se jaate hain...
Aandhi ki tarah udd kar,
Ek raah guzarti hain;
Sharmaati hui koi,
Kadamonse utarti hain
Inn reshmi raahon mein,
Ek raah to woh hogi...
Tum tak jo pahunchti hain,
Iss mod se jaati hain
Ek door se aati hain,
Paas aake palatati hain;
Ek raah akeli si,
Rukti hain na chalti hain...
Yeh soch ke baithi hoon,
Ek raah to woh hogi...
Tum tak jo pahunchti hain,
Iss mod se jaati hain
Iss mod se jaate hain,
Kuchh sust-kadam raste,
Kuchh tez-kadam raahein...
Patthar ki haveli ko,
Sheeshe ke gharondon mein,
Tinko ke nasheman tak,
Iss mod se jaate hain...
Wednesday, July 9, 2014
Posted by perpetual wonderer at 5:04 PM
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Comments:
Post a Comment