Wednesday, December 30, 2009

Mera kuch saamaan tumhare paas pada hai
saavan ke kuch bheege bheege din rakhe hain
aur mere ik khat main lipti raat padi hai
woh raat bujha do, mera woh saamaan lauta do
mera kuch saamaan tumhare paas pada hai

Patjhad hai kuch...hai na?
patjhad main kuch patton ke girne kee aahat
kaanon main ek baar pahan ke laut aai thee
patajhad kee woh shaakh abhi tak kaanp rahi hai
woh shaakh gira do, mera woh saamaan lauta do
woh shaakh gira do, mera woh saamaan lauta do

Ek akeli chhatree main jab aadhe aadhe bheeg rahe the
aadhe sookhe aadhe geele, sukha to main le aaye thee
geela man shayad bistar ke paas pada ho
woh bhijwa do, mera woh saamaan lauta do

Ek so sola chaand ki raatein ek tumhare kaandhe ka til
Ek so sola chaand ki raatein ek tumhare kaandhe ka til
geeli mehendi ki khushboo, jhooth mooth ke shikwe kuch
jhooth mooth ke wade bhi sab yaad karaa do
sab bhijwa do, mera woh saamaan lauta do
sab bhijwa do, mera woh saamaan lauta do

ek ijaazat de do bas, jab isko dafanaaungee
main bhi vaheen so jaungee
main bhi vaheen so jaungee

0 Comments: